ad

Thursday, April 15, 2010

Paathshaala (2010) hindi movie Song's Lyrics|mp3 download





Director :Milind Ukey
Cast : Shahid Kapoor , Nana Patekar , Ayesha Takia
Music Director : Hanif Sheikh
Lyricist : Hanif Sheikh

Song Name: Teri Marzi Aye Khuda
Film/Album: Paathshaala
Singer(s): Kailash Kher
Music Director: Hanif Sheikh
Lyricist: Hanif Sheikh

Lyrics-

Oo aye khuda teri marzi ke aagey kya hoga hai pataa
Tu jo chahe waisa samaa ho teri razaa
Tu jo chahe tapti dhoop mein aye khuda
Khilta hua gulistaan hoga
Tune banayi raahein, tune banayi manzil
Hum le chale hain apna kaarwan
Aye khuda teri marzi ke aagey kya hoga aye khuda

Tehni tehni se dekho, toota hai har patta
Bikhra hua padaa hai aaj ye gulistaan
Jilmilata yahan muskurata yahan tha khushi se kabhi ye aashiyan


Rehbar ho tum hamare phir kaisa dia pharmaan
Farishte bhi ruswa honge dekh ke ye anjaam
Ye na chahe koi ab bataa de tuhi
[www.world4free.in]
Keh kar apna tu kyun ban ta anjaam
Aye khuda teri marzi ke aagey kya hoga hai pataa
Tu jo chahe waisa samaa ho teri razaa
Tu jo chahe tapti dhoop mein aye khuda
Khilta hua gulistaan hoga
Tune banayi raahein, tune banayi manzil
Hum le chale hain apna kaarwan

Song Name: Mujhe Teri
Film/Album: Paathshaala
Singer(s): Tulsi Kumar, Hanif Sheikh
Music Director: Hanif Sheikh
Lyricist: Hanif Sheikh


Lyrics-

Mujhe teri aankhon ki gehrai mein doobne de
Mujhe teri baahon ki jannat mein khone de
Tere bina ye jeevan jaise suna sapna
Tere bina tujhko har pal dhoondhe ye dil mera
Mujhe teri aankhon ki gehrai mein doobne de

Na na nahin jaana pyaar kya, nahin jaana hota hai ye intezaar kya
Teri aankhon ne sab kuch kaha, kyun na kahe teri subaan
Maana maana maine pyaar hai, kaisa chaya dekho mujhpe khumaar hai
Mere sang zameen aur aasman, phir kyun khoyi meri har disha
Mujhe teri aankhon ki gehrai mein doobne de
Mujhe teri baahon ki jannat mein khone de

Tere bina, tere bina har pal lagey suna sa
Ik tujhse hi ban ta mera jahaan pyaara pyaara
De do na mujhko har khushi, haan kehta hai mujhse ye dil mera
Mujhe teri aankhon ki gehrai mein doobne de
Mujhe teri baahon ki jannat mein khone de

Har zarre mein, har jagah mein mehsoos karti hoon main
Ik tujhko hi haan tujhko hi mehfuz rakhti hoon main
Khayalon mein, dil mein, meri saanson mein
[www.world4free.in]
Gungunati hoon tujhko har baat mein


Mujhe teri aankhon ki gehrai mein doobne de
Mujhe teri baahon ki jannat mein khone de

Song Name: Bekarar
Film/Album: Paathshaala
Singer(s): Lucky Ali
Music Director: Hanif Sheikh
Lyricist: Hanif Sheikh

Lyrics-

Bekarar - 4 times

Sooni sooni raahon pe hai tera hi intezaar
Jali buji saanson mein ab tera hi hai khumaar
Na jaane maine kya khoya, kya paaya, kuch bhi na samjhe yahan
Bhula ke saari baaton ko jee aaya, phir bhi na aaye karaar
Bekarar - 4 times

Baaton ne baaton ne hai mujhko ghera abhi
[www.world4free.in]
Baaton ne baaton ne hai mujhko ghera abhi
Tu mil jaaye yehi bas sochun main har ghadi
Kyun tarsaye mujhe, aakhri hai meri ye ek adaa
Bekarar - 4 times


Sooni sooni raahon pe hai tera hi intezaar
Jali buji saanson mein ab tera hi hai khumaar
Na jaane maine kya khoya, kya paaya, kuch bhi na samjhe yahan
Bhula ke saari baaton ko jee aaya, phir bhi na aaye karaar
Bekaraar - 12 times
Song Name: Paathshaala - Khushnuma
Film/Album: Paathshaala
Singer(s): Vishal Dadlani
Music Director: Hanif Sheikh
Lyricist: Hanif Sheikh

Lyrics-

Come on every boy and girl, move into this crazy world
Education is a dream with situation
Come on every boy and girl, move into this crazy world
Education is a dream with situation
Pa pa ..
Get up, get up .. this is the baadshah now

Yehi subah suraj nikla, lagta mujhe badla badla
Main jaanu na hai baat kya, soche bina main to nikla
Kabhi rehta tha main gumm summ, ab dil mein machi hai boom boom
I don't care coz I'm happy right now (boom boom boom)
Ye samaa khushnuma, khushnuma ye samaa sara sara
Palsafa baaton ka sun bhi lo tum bhi ye kehna hamara
Come with me .. (educated, come on, come on)

Aisi jagah hai aur kahan, hai aap mein saara jahan
Aisi jagah hai aur kahan, hai aap mein pyaara jahan
Kabhi rehta tha main gumm summ, ab dil mein machi hai boom boom
I don't care coz I'm happy right now (boom boom boom)
[www.world4free.in]
Ye samaa khushnuma, khushnuma ye samaa sara sara
Palsafa baaton ka sun bhi lo tum bhi ye kehna hamara
Pa pa .. (educated .. get up .. this is the baadshah)


Ye samaa khushnuma, khushnuma ye samaa sara sara
Palsafa baaton ka sun bhi lo tum bhi ye kehna hamara
Ye samaa khushnuma, khushnuma ye samaa sara sara
Palsafa baaton ka sun bhi lo tum bhi ye kehna hamara
Come with me, da ra ra ..

Song Name: Aye Khuda
Film/Album: Paathshaala
Singer(s): Salim Merchant
Music Director: Hanif Sheikh
Lyricist: Hanif Sheikh


Lyrics-

Aye khuda mujhko bataa tu rehta kahan, kya tera pataa
Hum to yahan pe musafir hain, jo doondhe apni manzil ka pataa
Aye khuda mujhko bataa tu rehta kahan, kya tera pataa (pataa)
Hum to yahan pe musafir hain, jo doondhe apni manzil ka pataa

Yaada teri yaada aati hai, jaan meri jaan jaati hai
Tanhaion mein rehta hoon, khud se hi aksar ye kehta hoon
[www.world4free.in]
Kyun tune dil toda, kyun tune yun choda
Kyun tera abh bhi rahe dil ko intezaar
Kyun chali aati hai, kyun tadpaati hai
Kyun hoon abh bhi main yun bekaraar
Aye khuda mujhko bataa tu rehta kahan, kya tera pataa (pataa)
Hum to yahan pe musafir hain, jo doondhe apni manzil ka pataa

Faasle hain magar phir bhi tu door nahin
Maanke hum to hai, par tu majboor nahin
Har lamha mujhko ye tadpati hai, jaan meri jaan jaati hai
Tanhaion mein rehta hoon, khud se hi aksar ye kehta hoon
Kyun tune dil toda, kyun tune yun choda
Kyun tera abh bhi rahe dil ko intezaar
Kyun chali aati hai, kyun tadpaati hai
Kyun hoon abh bhi main yun bekaraar
Aye khuda mujhko bataa tu rehta kahan, kya tera pataa (pataa)
Hum to yahan pe musafir hain, doondhe apni manzil ka pataa


Yaada teri yaada aati hai, jaan meri jaan jaati hai
Tanhaion mein rehta hoon, khud se hi aksar ye kehta hoon
Kyun tune dil toda, kyun tune yun choda
Kyun tera abh bhi rahe dil ko intezaar
Kyun chali aati hai, kyun tadpaati hai
Kyun hoon abh bhi main yun bekaraar
Aye khuda mujhko bataa tu rehta kahan, kya tera pataa (pataa)
Hum to yahan pe musafir hain, jo doondhe apni manzil ka pataa

Free Paathshaala Songs Download [MP3] [2010] 320kbps